Thursday, October 3, 2019

Seo Kya hai – seo Kaise kare ? Aapne Blog Ki Traffic badaye

By:   Last Updated: in: ,

Hello dosto , kya aap Seo Ke bare Me Janana cahate hai . Seo Kya Hai ? Or Seo Kaise kare – or Blog/ website ke liye Kiyo jarori hai . Ye sab janane ke liye hamse bane rahe . 
Seo

Kya Aap Bhi ye Saval Se paresan Ki seo kya hote hai , what Is search engine optimization- seo in Hindi 

Aaj aapko Clear samjh Aa jayega Akhir Seo Kya Hai . Aaj Ham aapko simple tarike se  seo ke Bare me samjhunga . 

Dosto yaha tak sab jante hai seo ka full form search engine optimization . 

Seo sirph hamare website ya Blog ke Liye important Hoti hai or post Ko seo karne par google ke fast page par aane ki start ho jata hai or Blog par Traffic increase bhi hone Lagte hai . 

Har website ke liye  seo Karna Bahut Important Hoti hai bina seo Ke post Rank karna  aaj ke time me posible nahi  hai . Chahe vo new Blog Hai ya Old Dono Me Thik Thak Seo Karna Hota hai . 

Search engine optimization (seo) In Hindi 2019


Seo kya hai ? Seo Ak process Hai jisko istemal karke aapne Blog Par Acchi Traffic laya ja sakta hai . Google search engine mai . 

Seo simple Sabd me kahun . Jinko istemaal karke aapne website Google me top pag par la sakte hai . Or acchi Income Kama sakte hai . 

New Blogger ke liye Traffic kitna manye Rahata hai ye bat koyi nahi janata hai. Jab blog par Traffic na ho to website kis kam hai ☺️

Dosto Yadh Rakhna Google  Jo bhi Top page Aata hai Usi Post Ko visitors click karta hai . Or usi ko Jaida traffic milta hai . 

Dosto fast Page par Aane ke liye bahut Mahenat Karna padta hai . Or seo Ko samjhna padta hai  agar aap Ak seo puri tarh se samjh aa jata  hai to aapko  success Blogger Banane se koyi nahi rok sakta hai . 

Blogging Ka important Part Hai Seo Karna Aaj se bina Seo Kiye Jitna Bhi post Likh lo Leikin Rank nahi hoga . Aap chahe to Try Karke dekh sakte ho . Sara Mahenat Pani me chala Jaayega . 

Dosto agar aap Blogging par se Online Paisa kamana chahte hai to Aapko seo Sikhna bahut jarori hai . Agar aap Seo Sikh lete hai To   Internet ke duniya me aap Bahut kuch Sikh Liya . 

Seo Ka Koyi Rules nahi Hote hai balki Iske kuch Google Algorithms ke Upar Adharit hai . Vo aapna Algorithm badlta rahata hai . 

Seo kya hai – or Blogging Me seo Kaise kare ? 


Seo kya hai ye hamne Aapko Upar me bata diya hu . Search engine optimization  ab Samjhte hai blogging me seo Kaise kare dosto seo Ko samjhna itna Mukil Nahi kam nahi hai . Man lo aapne Ak blog banaya hai or usme Achha High quality content likh Par Publish Bhi kiya hai . Lekin Hamne seo Nahi kiya hai 

Asa Karne par Hamara Post Google ke last Page Par show Honge . Ase Content visitor ko pata bhi nahi chalega ki Asa Post Google par hai kya nahi . Visitors Sirph Top Page Ko dekhta hai or uspar Content read karta hai . Na ki 20 Number ka Ka page . 

Agar seo karna nahi aata hai to blog banane ka koyi matlab nahi hai 

Seo kitne tarh ke hote hai ? 


 Seo 2 Tarh ke hote hai ak OnPage seo Or Dusra Off page seo in Dono Kam Alag Alag Hota hai .To chaliye In dono ke bare me jante hai . 

  1. On Page seo 
  2. Off Page Seo 


  1. On- Page seo 


On – page Seo Kam sirph Blog ke Andar  hota hai jaise me :- website ko Design karna , website ko seo  friendly banana , template ko Design Karna ye Sab On-page Seo me aata hai .

On- page Seo blog ka optimization karna Content or Heading Ko target karna . 

On-page Seo Kaise kare 


Jab koyi New Blogger Seo – optimized Post likhne Ki bat aati hai to o tensan me Ho jata hai . Yah bahut bada kam hoga dosto Ye koyi bada kam nahi hai . On-page seo me kya -kya karna hota hai vo me aapko bata raha hu . 

  1. Website speed Fast karna 


Agar Aapka website ki speed dhimi hai to aapko seo karna bahut jarori hai . Kiyoki jab aapke site koyi Visitor aayega to sabse pahle aapke site ki Loading speed check karega agar aapka page Loading hone me time Leta hai To visitor Aapki post ko Skip karke chala jayega . 

Website ki speed 5 se 6 second Hona chahiye isse upar nahi agar aapka site iske Bhitar open Ho raha hai Bahut achhi bat hai . 

Yah sabse important Tips Hai jo Aapko Barabar dhayan rakhna chahiye . 

Aap Jab koyi Template ya Theme Download Kere To uski Speed jarur check kare . Agar aapka blogger par site hai To Aap AMP template use jarur kare . 


     2.Titles or Tag 

Jab aap Blog/ website Banaye to uski Titels Tag accha Banaye . Taki koyi Visitor Aapke site par aaye to Use Pata chale Ki akhir is website me kya hai . Or Badhiya se Read kar paye  asa nahi karna hai titels kuch or post Me Kuch or Aap jo bhi Titels fine Kare Uske andar ohi Chij hona chahiye . 


Titels Tag kaise banaye :- title Tag me aap Jayada words ka Istemaal na kare 50 se 65 Word hi Use kare isse aapka on-page seo Acchi se bana rahega . 


Agar aap 65 word se  jayada keyword  rakhte hai to Google me title tag show nahi karega . Is bat ko aapko dhyan rakhna hai . 

     3.Post Ka URL simple Rakhe 


Jab bhi aap koyi post Likhte hai to Uski URL bilkul simple Or Chota Hona chahiye . 

    4. Alt Tag ka design kare


Aap aapne website ke Jo bhi image Use karte hai uski Alt Tag istemal jarur kare. Kiyo kayi bar kya hota hai . Article Google me rank nahi kar pata hai to image rank kar jata hai isse aapki Image se Blog par Traffic aane ki badh jati hai . 

      5. Content ,Heading or keyword par                      dhyan rakhna hai 

Aap jab bhi koyi article likhte hai to sabse pahle uski Heading par dhyaan dena Bahut jarori hai uske bad Content ke Upar har post me aap kam se kam  800 se upar Word ka Content likhe . 

Or Content aapka Unique Hona chahiye kahi se Copy Kiya huya nahi . 

Heading :- aap jab fine kare usse pahle Uske bare me acchi se jan le taki post likhte time koyi tikat na ho . Kiyoki Heading Sabse important hoti hai blog post Likhte wakt aapka Titel H1 Hota hai . Uske bad aap sub Heading de sakte ho . Jo H2 h3  etc . Use kar sakte ho . Iske sath aap  H1 Ki keywords H2 , H3 Me jarur istmaal kare. 


  1.  Off – page Seo 


Off-page seo Kam Blog ke Bahar hota hai jaise me :- aapne Blog social media par share karna yani ki Blog ko promotion Karna .Or Popular Blog par comment karna . 

Aapne website/ blog ke liye backlink bana, yah sab off-Page Seo Me aata hai . Ho sakte to Ak YouTube channel bana kar aapne Blog ko promoting Karna ,

Off- page Seo Kaise kare 


Off-page seo Karna Thoda Mahanet ka kam Hai leikin jab off – seo Kar lete hai To Aapka Blog par Traffic aana  Start ho jata hai 

    1. Sabse pahle aapna Blog Google search            console Me sumit Kare . 
    2. Social media aapne Blog ke Liye                       Facebook , instagram, youtube google+             jaise site par aapna page create kare. 
    3. Guest post : - jitna Ho sakte Aapne Blog          ke Related Dusre blog par guest Post                   kare. 

Dosto Aaj mene Jo bhi Tips Diya Hai agar aap isko Follow karte hai To me garanti leta hu ki aapka Blog par traffic aana Strat ho jayega . Dosto aaj aapne sikhna What is seo – seo kya hai , or Blog par Traffic kaise badhaye . Agar ye aapko pasand aaya hoga to aapne dosto ke sath share jaruru kare 

Post ko Read karne ke liye Thanks ,,,, 

No comments:
Write comment