Friday, August 3, 2018

Android Phone ko Root kaise kare bina Computer ke - in Hindi

Aap me se bahut sare smartphone users hai. Jinhe mobile phone Rooting ke bare me bilkul nahi pata Hoga. Mujhe bhi suru - suru me mobile Root karne ke bare me jankari nahi tha. Par ab mai '' Root '' ke bare me  itni jankari malum hai. Ki rooting ki  process jindgi me kabhi bhul nahi sakte hun. To chaliye friend aaj mai aapko Android phone Root Kaise kare, Phone ko root karne ki puri process is Article mai dene ja raha hu.

Smartphone ka istamal Aaj har koyi vakti use kar raha hai. Lekin Android  mobile Rotting karne ki jankari  ke bare me bahut kam hi logo ko pata hain. Android phone ko Root karne ki jarurat sabko nahi padti hai. Aapna Android mobile phone root sirph wahi log karna chahte hai. Jinhe aapna phone ko performance ko our bhi  behtar karna hota hai. Unhi  bande ne aapna phone ko Root karta hai. Taki vo aapne Android mobile ko puri tarh se control kar sake.

Phone ko root karne se pahle hume iski nuksan our payde ke bare jaa Lena chahiye. Taki  aapko bad mai koyi problem Na aaye 



Mobile phone ko Root Karne ke Fayde aur Nuksaan 


Phone ko root karne se payde Our nuksa dono hoti hai. Smartphone Root karne se pahle ye jaan lena hoga . Aakhir Root kya hoti hair. Or isse  Phone ko payda kya hai. Sabse pahle nuksaan or fayde  ke bare me bat karunga. Jisse aapko bad me kuch problem Na ho. 

1. nuksaan : 

1.Smartphone ko Root karte wakt hamari phone khrab bhi ho sakti hai. Jo ko ON hona  naa ke barabar hai . Kiyo ki jab bhi hamara mobile Rooting ki Process me hoti hai To processor hamari mobile ki Ram par ifekat padta hai .Jisse phone kharab hone ki dar rahati hai. Agar mobile Root process  100% completed ho jata hai to  mera  mobile successfully Root Ho jata hai . Lekin 1 se 2 month ke bad work karna band ho jata hai.

2.  Agar aapne new phone liya hai . Our 1 years nahi huya hai. Or vo abbi warranty period me hai . Or aap use Root kar dete hai hain. To aapki mobile company ki our se koi warranty nahi milega kiyo root ak asi process hoti hai jo company ke bhar hai. 

So ye thi kuch disadvantage, phone ko root karte waqt mobile dead bhi ho sakti hai is baat ka hame puri tarh se dhyan rakhna chahiye. Agar aap new smartphone user hai to aap root bilku na kare. 


Root karne ki fayde:

1.Smartphone ko root karne ke baad sare option Apne hisab se fully customize kar payenge.or iske sath- sath interface ko pura tarh se change kar sakte hai . Iske liye aapko thodi bhut iske bare me jankari honi chahiye . Tabhi aap kar sakte hai. 


2.Pahle se phone me installed  Application ko uninstall kar sakte hai. Jaisa ki facebook, youtube, contact massage. Etc delete kar sakte hai or jo bhi apps aapke kam ka nahi hai use Removed kar sakte hai. Mobile Root ki madad se Ram ko Thodi badha sakte hai. Jisse aapki phone fast kam karne lagegi. 

3. Root ki help se battery life , kuch badh jati hai or iske sath - incompatible Apps ko install kar sakte jise aap bina Root device Install nahi kar pa raha tha . Jab bhi hum old version ki Apps Install karte hai to New Version ki Apps install ho jate hai . Lekin jab aap Root kar lete hain . To aap Old version ki apps download kar payenge. 



 Phone ko Root Kaise Kare kingroot Apps se :


Phone ko root karne se pahle Rooting  option process  acchi se samjh lena hoga. Uske bad hi phone ko Root karne ki teyari karna . Aaj me aapko '' kingRoot'' Application se Root karna bataunga. Ye sabse simple process hai. Jiski madad se bina computer ke Root kar sakte hai. 


Step 1 : Sabse pahle apne smartphone me KingRoot Application download kariye

Step 2 :  Ab ishe download karne ke open karne ke bad '' GET NOW ki button par click kijiye. 

(Note)  Process complete hone tak mobile data ya Wi-Fi On hi rakhna padega. 

Step 3 : Get now pe click karne ke bad Aapki phone Root hona start ho jayega. Our jab 100%  complete  likha mil jayega. To aapko phone fully root ho chuka hoga. 


agar mere bataye huye Application se Phone Root nahi ho pa raha hai . To dusre Apps Try kar sakte hai. 

  • 1.kingroot application
  • 2. FramaRoot
  • 3. TowelRoot
  • 4. V Root 
  • 5. Z4 root
Itna hote hi  Aap Aapna smartphone me Root Access Accept kar payoge. Kingroot se phone karne ke sath- sath aapko Ak our purifier Apps bhi milta jisse aap use karke phone ki speed ko Optimize karne mai kam aayega. Is aap se aap Sara chij dekh sakte hai mobile root huya ya nahi check karne ke liye play store se koi Root permission ki Apps download karke dekhiye. 

ye tha ''Android phone ko root kaise kate '' bina computer ke puri jankari agar aap bhi aapna phone Root karna chahte ho.to uske fayde or nuksan dino ke bare me puri janakri pata kar lijiye . Uske bad hi me Phone Root ko Root kare. 

Hope aapko mera Article acchi laga hoga to share karna na bhule .Or iske sath is post se related or bhi phone Root karne ki jankari chahiye to comment me bataye. 

No comments:
Write comment